Saturday, April 23, 2011

Manzil

Manzil kya hai ?
Manzil wahi jahan le jaye raasta
Manzil fir wahi jahan tak jaye raasta
Yeh manzil kisne banayi ?
na maine na tumne
To yeh raaste kisne banaye ?
na maine na tumne
ret ke tilon se baar baar bane bigde
fir kisi se takrakar swayam kendrit hue
Manzil kya banayega koi manuj
kya uske atrupt netra kabhi trupt hue hain
Manuj me adhiakadhik ki garaj
tabhi to kai manzilein kai raaste bane fir lupt hue hain
tabhi to sabki mazil alag alag
sabki tushti alag alag
ek dharti pe rehkar bhi anya ke prati hai sab ki drishti alag alag
manzil satya bhi hai
manzil mrigtrishna bhi
yeh manuj ke nikat hi hai
par manuj ki paristhiti bhi vikat hai
Yeh samajh ke le gaya koi aur
naak ke neeche manzil rakhkar dhoondhe charon or


Note : Reposting. Had written it while in school, 10th or 11th can't remember anymore

4 comments:

Ramesh Sood said...

And now you know that Manzilein bhii hain..raste bhii..aur hum chalte bhii hain..kayee baar rastte badal dete hain manzil ke liye.. aur ek hum hain kii rastaa chunaa hai..manzil wahi hogi jahan pahunchenge.. mud kar dekhenge toh jaan payenge..kii paon ke nishan gahare hain yaa nahin.. raaste badal badal kar manzil mil sakti hai magar paon ke nishaan... gum hote hain..

What do you say RM.. have placed a haiku in a little pensive mood today.. but I am back and happy.

Rashmirekha Manna said...

Yes sir "raaste badal badal kar manzil mil sakti hai magar paon ke nishaan... gum hote hain.."

Agar koi pairon ke kuch nishaan khona chahe to... wo nishaan jo soorkh hain... jab bhi unhe mudke dekha wo soorkhi aankhon me gussa bankar ubhar aayi....

Ye sochein ki wapas usi raaste pe aa gaye jahan safar haseen tha aur manzil ka pata na tha... lekin yeh pata tha ke manzil pe sukoon milega... kyunki raaste bhar sukoon baanta hai.... wo soorkh pairon ke nishaan un kadmon ke hain jo bhatak gaye the


Thank you so much for visiting sir

Regards

Ramesh Sood said...

I appreciate your thoughts.. we all our on our paths...

I have written somewhere..

I had lost my way.. when aha, I found my path..

Now the question is should I look at what is ahead..with a smile.. or look back to get angry on why did I get lost..

Rashmirekha Manna said...

We should look at what is ahead and not look back.... that's why I want to loose those footsteps... as you said like dry, dead leaves from trees :) :)

Thank you sir

Regards

Resolve

Don’t ever try to become somebody else’s dream. That is when you lose the freedom to shape your life your own way. It is way more rewarding ...