Monday, August 23, 2010

रिहायी

बस इतना कह के मैं नहीं तेरी मंजिल
और मौत की राह पे छोड़ दे
फिर ये न कह कि मैं पसंद भी हूँ तुझे
कि फिर न जीते बने न मरते

पूरी उम्र एक अफ़सोस में गुज़रे
के ये किस कमी के साथ आये थे हम
न मिला आसमान न ज़मीन के हुए
मिली बस निगाहों में नमीं और एक खूबसूरत ग़म

ख्वाबों से भरी उन मीठी बातों से
ये ख़ामोशी अच्छी
गुर्बत के बादलों तले मुलाक़ात से
ये दूरी अच्छी

For guests not comfortable with the Hindi script:-

Rihayi


Bas itna keh ki main nahi teri manzil
Aur mout ki raah pe chhod de
Fir ye na keh ki main pasand bhi hoon tujhe
Ke fir na jeete bane na maarte

Poori umr ek afsos me guzre
Ke ye kis kami ke saath aaye the hum
Na mila aasman na zameen ke hue
Mili bs nigahon me nami aur ek khoobsurat gham

Khwabon se bhari un mithi baton se
Ye khamoshi achhi
Gurbat ke badlon tale mulaqat se
Ye doori achhi


Note: From my diary

2 comments:

R! said...

This is bang on!! I wish i could fold it in an email and send it to him.
Loved it :)

Anonymous said...

Teri hi zameen, tera hi aasmaan hai
Phir kyu kisi me dhoonde tu apna jaha hai..
Is zameen pe phul khilana hai to khila,
kyun tham gayi hai
kyu..
ye kaisa pyar hai jisne tujhe roka hai.

Resolve

Don’t ever try to become somebody else’s dream. That is when you lose the freedom to shape your life your own way. It is way more rewarding ...