Kya baat hai ki kahani ruk jaati hai bante bante
Lab khulte hain par lafz wapas sarak jaate hain aate aate
Kuchh dhundla sa yaad aata hai; nigahein uthake dekhta hai dil
Fir ek hasin gehri saans me badal jati hai karwat lete lete

Bahut roz hue khwabon se mulaqat na hui
Wo mujhse naaraz ya main unse kuchh samajh na aaya
Bas yeh suni shaamein baat aam ho gayin

Dil kehta hai kisi ummeed ki ungli pakad
Bhari aankhon ke dariya se bahar nikal
Jo dost hai tera safar me thaam use, udhaar le kuch khwab aur chal
Jaane kya baat hai ye aahein usika daaman jalaye jaati hain
Bejaan khwabon se bojhil aankhen, jab uthti hain uski taraf
Sulagte dil se nikli loo ke saath uske khwabon ko bhi thandi raakh banaye jaati hain